Manzil Ho Meri....
Aaj main jaa raha hoon aur shaayad kabhi na wapas aao kam se kam jab tak tum na chaaho...Woh teen din bhi apne saath liye jaa raha hoon, adhoore rangey huye hi sahi par saath liye jaa raha hoon... Koi shikwa nahi koi shikayat nahi... Taras kha kar hi sahi, tumne koshish toh ki rang bharne ki... Bas ye jaan lo ke main khush hoon... Mujhe nahi samajh aata tumhara kehna ke bhool jao sab... Tumhi bata do kaise... Tumne bhi toh koshish ki, kya bhool paayi usey... Din guzarta jaayega pyar bhi badhta jaayega... Par shaayad ab tumhe keh nahi paaonga ke tumse kitna pyar karta hoon... Sach kahoon toh tumhara ye bhi baat maanne ko jee karta hain ke tumhe bhool jao par kambakht ye dil dagaa de deta hain... Bahot koshish ki dil ko samjhaane ki par har koshish naakam... Main sach mooch tumse behadd pyar karta hoon aur yakeen maano ke hamesha karta rahoonga... Chupke se hi sahi par tum mujhme yakeenan kahi samaa gayi ho... Nikaal paana namumkin hain... Aisa lagta hain tumhaare paas aakar meri talaash puri ho gayi... Manzil ho meri tum par........
1 Comments:
JAZZBAAT KI KIMAAT BEWAFA KYA JANE
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home