आधी हकीकत आधा फ़साना

कुछ बातें जो कभी याद आ गयी और कभी गढ़ दी.... आप बीती और किस्सों से भरी ये दुनिया हैं मेरी...

Monday, May 30, 2011

Tere Bin....

Subah se mubarakbad hi mubarakbad mil rahe hain... Kehte hain aaj meri zindagi ka ek important din hain... Paida hona itna important hota hain ye aaj pata chala... Par tumhara diya hua ye judaai ka tohfa sabse behtareen hain... Door jaane ka mann nahi hain par tumne vaada kiya hain ke tum muskuraogi... Kisi ke maut par muskurana bhi toh ek kala hain... Tum kehti ho ke manaa lo usey... Manaaya bhi aur manaonga bhi, par darta hoon ke kahi aur na toot jaoon... Agar toot bhi gaya kahi toh uff tak nahi karoonga... Kaun sunega mera Uff, koi bhi toh nahi, kahi bhi toh nahi... Tum jitni koshish karti ho mujhse door jaane ki main utna hi tumhare nazdeek hota ja raha hoon... Tere bin main kuch bhi toh nahi, tujh mein samaa jaana chaahta hoon... Tere wajood ko main apna wajood banaana chaahta hoon...

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home