Udhaar ki Hassi
Ek hassi rehti thi mere makaan mein,
Pata nahi kaha hain, kahi bhool aaya main,
ya shaayad kahi chhod aaya...
Yaad aaya! main na toh usey kahi bhoola na hi chhod aaya...
Main toh de aaya, de aaya usey kyunki ab wo mere kaam ki nahi thi...
Makaan bhi gir gaya tha...
Koi nahi tha jo usey dekhta, uska khayal rakhta...
Fir rehne ke liye na toh makaan tha na hi koi wajah...
De aaya iss liye... Shaayad uske kuch kaam aa jaaye...

1 Comments:
Wo gira hua makan apna man hai, or hassi bhi ap use hi de aaye hai,ek bar man ko utha kar hasi mangiye kisi hal me bhi aajayegi
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home