आधी हकीकत आधा फ़साना

कुछ बातें जो कभी याद आ गयी और कभी गढ़ दी.... आप बीती और किस्सों से भरी ये दुनिया हैं मेरी...

Tuesday, December 13, 2011

Kab Ke Bichhade

Main usey kabhi apne dil se nikaal nahi saka… Bhoola nahi paaya usey, koshish bhi nahi ki maine aur kyun karta koshish bhoolane ki wo toh ek sunehra ehsaas hain, jeene ki wajah hain meri… Hum kabhi miley hi nahi par bichhad zaroor gaye… Waqt usey kahi aur le gaya aur mujhe kahi aur… “Main bahot chaahta hoon tumhe”, kaash ye keh deta usey toh shaayad zindagi kuch aur hi rang mein rangi hoti aaj… Main nahi keh paaya aur waqt bahaa le gaya mujhe aur usey alag alag dishaon mein… Par waqt kaisa bhi sahi wo ek ummeed zaroor mere mann mein thi ke ek din wo mujhe milegi zaroor, mujhe se jee bhar ke baatein karegi zaroor… Wo Ummeed haqeeqat bani aur Kab ke Bichhade hum ab ke miley… Kya hua jo haalat badal gaye hain par hum miley toh zaroor… Usey dhoondh ne ke liye jitney bhi jatan kiye aaj uska dard uss khushi ke aage kuch bhi nahi jo uske milne se mila hain, uske saath baat karne se mila hain, uske saath hasne se mila hain… Toh kya hua ke wo meri nahi hain aur shaayad kabhi ho bhi nahi sakti par kuch pal hi sahi usne apni zindagi ke jo mujhe diye hain, wohi mere liye puri zindagi hain… Wo jab muskurate huye mera naam leke mujhe kuch kehti hain toh aisa lagta hain maine puri zindagi jee li… Main paagalon ki tarah chaahta hoon usey par chaah kar bhi nahi chaah sakta ke wo bhi mujhe chaahe… Kaash ek pal ke liye hi sahi wo kahe ke usey pyar hain mujh se… Kuch sapne, sapne hi reh jaate hain… Un sapno ke naseeb mein sach hona nahi likha hota… Waise bhi kisi ne kaha hain ke ek hi zindagi mein kitne sapne poorey hongey… Par uss ne ye nahi socha ki zindagi bhi toh ek hi baar milti hain… Sapna agar “woh” hain toh na pura hone ka dard toh hoga hi… Kitna kuch kehna hain uske baare mein par pata nahi kuch keh nahi paa raha hoon, ye kya hota jaa raha hain mujhe, Main apne hi bas mein nahi reh paa raha hoon… Doob raha hoon uss mein itna ke main apne aap se bhi anjaan hota jaa raha hoon… Ye kya ho raha hain, kyun ho raha hain kuch pata nahi bas itna pata hain ke aur doob jaana chaahta hoon iss pyare se ehsaas mein aur durr chala jaana chaahta hoon… apne aap se bhi durr bas uske paas…

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home