आधी हकीकत आधा फ़साना

कुछ बातें जो कभी याद आ गयी और कभी गढ़ दी.... आप बीती और किस्सों से भरी ये दुनिया हैं मेरी...

Monday, January 9, 2012

Ye Duniya Wo Duniya…

Kal jab uske paas se lauta toh wo nahi aayi saath, bas yaadein bhej di… Main nahi laana chaahta tha uski yaadein apne saath, main chaahta tha ke wo aaye… Par usey kisi se kiya vaada bhi toh nibhaana tha, shaayad mere vaadey se jyaada zaroori tha wo, ye main bhi jaanta hoon… Uski yaadon ki puri ek duniya basaa rakhi thi maine uske intezaar mein… Wo duniya jo iss duniya se bilkul parey thi, bas do hi baasindey thay us duniya mein – Main aur Woh… Hasna-Rona, Roothna-Manaana, Pyar-Takraar yaha tak ke Jeena-Marna bhi hota tha hamaari uss duniya mein… Kitna haseen tha sab kuch waha, par ab darta hoon uss duniya mein waapas jaane se… Darta hoon kyunki maine haqeeqat mein bhi waisi hi balki uss se bhi rangeen ek duniya mehsoos ki hain… Jeene ki koshish ki hain maine iss haqeeqat ki duniya mein, jee bhar ke… Haqeeqat ki duniya ki ‘Woh’ mujhe mere duniya ki ‘Woh’ se jyaada pyar karti hain… Darta hoon iss liye bhi apni uss duniya mein jaane se kyunki ‘Woh’ mujhe bewafaa na samjhey… Par lagta hain jaise kisi ko shaayad meri hassi manzoor nahi, uss ne jaise mujhe fir se uss duniya mein bhejne ki kasam hi kha li hain… Ye bhi nahi samajhta ke nahi jee paaonga uss duniya mein main, dum ghoot ta hain mera uss duniya ke baare mein soch kar bhi… Rok lo mujhe please uss duniya mein jaane se, waha sirf khwab hain, kabhi na puri honewali ek ummeed hain aur kuch bhi nahi… Marne do mujhe iss haqeeqat ki duniya mein, Jeene tak…

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home