आधी हकीकत आधा फ़साना

कुछ बातें जो कभी याद आ गयी और कभी गढ़ दी.... आप बीती और किस्सों से भरी ये दुनिया हैं मेरी...

Monday, February 27, 2017

Tum Miley...


Kuch aise miley hum ke tum taqdeer ban gayi, lakeer ban gayi, 
samaa gayi rago mein iss tarah ke meri hi tasveer ban gayi... 
Wo tere haathon ka mere haathon ko kas kar thaamna 
jaise mere siwa koi dooja nahi iss duniya mein...
Wo tera honthon ka mere honthon se milna 
ki zindagi chakh li ho jaise... 
Kaise ek doosre mein samaate chale jaana 
jaise ab koi aur manzil hi nahi paane ke liye...

Udhaar ki Hassi

Ek hassi rehti thi mere makaan mein,
Pata nahi kaha hain, kahi bhool aaya main, 
ya shaayad kahi chhod aaya... 
Yaad aaya! main na toh usey kahi bhoola na hi chhod aaya...
Main toh de aaya, de aaya usey kyunki ab wo mere kaam ki nahi thi...
Makaan bhi gir gaya tha... 
Koi nahi tha jo usey dekhta, uska khayal rakhta... 
Fir rehne ke liye na toh makaan tha na hi koi wajah...
De aaya iss liye... Shaayad uske kuch kaam aa jaaye... 

Zindagi hain...

Kuch gham hain, kitne hum hain!
Kuch pyaas hain, kitne khaas hain!
Kuch aawaz hain, kitne raaz hain!
Kuch rishtey hain, kitne sastey hain!
Kuch dawaa hain, kitne dard hain!
Kuch wafayein hain, kitne zafayein hain!
Kuch raastey hain, kitne waastey hain!
Kuch pyar hain, kitne takraar hain!
Kuch aankhen hain, kitne surkhiyan hain!
Kuch rang hain, kitne badd-rang hain!
Kuch zinda hain, kitne shamshaaney hain!
Kuch dil hain, kitne daraarey hain!
Kuch naghmein hain, kitne saazein hain!
Kuch kissay hain, kitne yaadein hain!
Kuch din hain, kitne raatein hain!
Kuch haqeeqat hain, kitne bahaaney hain!
Kahi nookili, kahi pathreeli, kahi ubad-khaabad toh kahi sapaat seedhi...
Kehte hain...
Ye Zindagi hain! Zindagi hain!! Zindagi hain...!!!