Bahot tamanna thi jab bhi mujhe kisi se sachha pyar hoga toh main usey kam se kam ek letter toh zaroor likhoonga...likha bhi... par saath hi le kar chala aaya...darta tha kahi wo usey mera convince karne ka koi hathkanda na samajh le...darr ke kahi usey mujh par daya na aa jaaye...Us raat uska haath thaama tha par wo sirf haath tha...raat bhar dhoonda usey un haathon ki chhooan mein uski parchhaiyan tak nahi mili...Usey pyar tha par mujhe bhi toh pyar tha, shayad us ke jitna na ho par kam bhi toh nahi...Mann toh mera bhi karta hain ke main uske gaalon par haath rakh ke kahoon ke wo kitni sundar hain...uske baalon mein haath ferkar kahoon ke tum aise nahi iss tarikey se apne baal style karo...Usey mujhse door jaana hain, mere khayalon se door jaana hain...Main rokna chaahta hoon usey par kaise roku, main koi bhi toh nahi uska...Saare haq us ne hastey hastey wapas maang liye aur main uski hassi dekhne ke liye usey deta raha...Main nahi dena chaahta tha wo saare haq par uski hassi bhi toh dekhni thi...Laalchi ho gaya hoon uske muskaan ka...Ab toh haal ye hain ke wo mere khayalat, mere sapne jis mein uska aana jaana hain wo bhi maang rahi hain...Kaise de doon usey ye...Ye sapney, ye khayal hi toh hain ab mere paas ke jis mein main usey jo chaahoo jab tak chaahoo baat kar sakta hoon, uske saath chhat par saari saari raat haathon mein haath rakhe yu hi bina kuch kahey suney bita sakta hoon, usey jaise chaahoo pyar kar sakta hoon...Par ab usey ye bhi chaahiye badle mein hassi degi...Pata nahi sauda kaisa hain par shayad iss baar bhi main haar jaaonga...Wo le jaayegi sab apne saath bas ek hassi ke badle aur Main bas ek khaali dukaan liye patthraayi aakhon se dekhta rahoonga kyunki hassi jis par saara sauda hua wo toh uske saath hi chali jaayegi...