आधी हकीकत आधा फ़साना

कुछ बातें जो कभी याद आ गयी और कभी गढ़ दी.... आप बीती और किस्सों से भरी ये दुनिया हैं मेरी...

Monday, December 19, 2011

Bas Ek Raahi…

Kuch toot raha hain kuch toot ke bikhar gaya hain, samet raha hoon be-tahaasa ke sab tukde miley toh ‘MAIN’ banoo… ‘MAIN’ phir banoo, jaan hogi, shaayad nahi hogi par uski chinta kisey kyunki pehle saare tukde toh miley… Nazar kamzor ho gayi hain ya tukde hi itne maheen ho gaye hain ke dikh nahi rahey… Par kuch bhi ho kaise bhi ho mujhe unhe dhoondna hain kyunki mujhe phir se ‘MAIN’ banna hain… Koi dhoondta mere saath un tukdo ko toh shaayad jaldi ho jaata par kyun koi jodey kisi ke tukdo ko… Kiske paas waqt hain kisi tooti hui cheez ko jodne ka, iss duniya ke bazaar mein sab kuch milta hain… In tukdo ki kya keemat, ye toh waise bhi saste daamo mein kharidey aur bechey jaate hain… Ab thakaan si mehsoos hone lagi hain tukde chuntey chuntey, kuch miley kuch nahi miley, dopahar bhi sar chhad gaya hain aur iss garmi mein zindagi jhulasne si lagi hain… Ab lagta hain ke un tukdo ko aise hi bikharey rehne doon aur bachi saanso ko saath lekar aage chalne ki taiyyari karoon nahi toh shaam ho jaayegi aur manzil bhi bahot durr hain, ekdum aankhon se ojhal… Bas ek raahgir mil jaaye toh kehte sunte shayad raasta jaldi kat jaaye aur shaam hone ka darr bhi na lage… Bas Ek Raahi!!!

Tuesday, December 13, 2011

Kab Ke Bichhade

Main usey kabhi apne dil se nikaal nahi saka… Bhoola nahi paaya usey, koshish bhi nahi ki maine aur kyun karta koshish bhoolane ki wo toh ek sunehra ehsaas hain, jeene ki wajah hain meri… Hum kabhi miley hi nahi par bichhad zaroor gaye… Waqt usey kahi aur le gaya aur mujhe kahi aur… “Main bahot chaahta hoon tumhe”, kaash ye keh deta usey toh shaayad zindagi kuch aur hi rang mein rangi hoti aaj… Main nahi keh paaya aur waqt bahaa le gaya mujhe aur usey alag alag dishaon mein… Par waqt kaisa bhi sahi wo ek ummeed zaroor mere mann mein thi ke ek din wo mujhe milegi zaroor, mujhe se jee bhar ke baatein karegi zaroor… Wo Ummeed haqeeqat bani aur Kab ke Bichhade hum ab ke miley… Kya hua jo haalat badal gaye hain par hum miley toh zaroor… Usey dhoondh ne ke liye jitney bhi jatan kiye aaj uska dard uss khushi ke aage kuch bhi nahi jo uske milne se mila hain, uske saath baat karne se mila hain, uske saath hasne se mila hain… Toh kya hua ke wo meri nahi hain aur shaayad kabhi ho bhi nahi sakti par kuch pal hi sahi usne apni zindagi ke jo mujhe diye hain, wohi mere liye puri zindagi hain… Wo jab muskurate huye mera naam leke mujhe kuch kehti hain toh aisa lagta hain maine puri zindagi jee li… Main paagalon ki tarah chaahta hoon usey par chaah kar bhi nahi chaah sakta ke wo bhi mujhe chaahe… Kaash ek pal ke liye hi sahi wo kahe ke usey pyar hain mujh se… Kuch sapne, sapne hi reh jaate hain… Un sapno ke naseeb mein sach hona nahi likha hota… Waise bhi kisi ne kaha hain ke ek hi zindagi mein kitne sapne poorey hongey… Par uss ne ye nahi socha ki zindagi bhi toh ek hi baar milti hain… Sapna agar “woh” hain toh na pura hone ka dard toh hoga hi… Kitna kuch kehna hain uske baare mein par pata nahi kuch keh nahi paa raha hoon, ye kya hota jaa raha hain mujhe, Main apne hi bas mein nahi reh paa raha hoon… Doob raha hoon uss mein itna ke main apne aap se bhi anjaan hota jaa raha hoon… Ye kya ho raha hain, kyun ho raha hain kuch pata nahi bas itna pata hain ke aur doob jaana chaahta hoon iss pyare se ehsaas mein aur durr chala jaana chaahta hoon… apne aap se bhi durr bas uske paas…